pyaare dostoon, khush amadeed
mujhe likhte huwe 10 saal se ziyada ho chuke hain. yeh safar meri diary se shuru huwa aur shairy.com (jo k ab inactive hai) se hota huwa tumblr.com aur medium.com tak ja poncha. iss dauraan maine unginat ghazlain, nazmain, kahaniyaan aur afsaane likhe. kahaniyoon ki shuruat beshaq angrezi se ki laikin phir ehsaas hua k meri androoni duniya urdu main saji hai. aur huwa bhi kuch unhi k jo ehsaasaat main urdu main bayan kar sakti hoon unka kisi aur zubaan main naim-ul-badal nahi.
meri zindagi dou hisoon main taqseem hai. shayad yehi aik mohajer ki asli pehchaan aur sab se bara imtehaan bhi hai. bahir ki duniya k liye main aik science-daan hoon aur angrezi main mere bohat se research papers bhi shayeh huwe hain. lekin meri andar ki duniya ka manzar kuch aur hai. wahan main apne buzurgoon, apne paseenda shayaroon aur musnafeen k saath khush rehti hoon.
qalbtalk khatoot k zariye aap is androoni duniya ki sayr karain ge. jo main sochti hoon, mehsoos karti hoon, tasawuur karti hoon. mujhe parhne likhne ka bohat shauq hai. meri aik billi hai jiski tasweerain main tumblr pe post kiya karti thi. mujhe chaand, samundar aur aamaan ki tasweeroon se bohat lagao hai.
in khatoot se meri yehi umeed hai k apni sab kahaniyaan aap k saath baant sakoon. agar aap tumblr se yahan aayen hain tou aapke pyaar aur saath ka shukriya. agar aap naye hain tou umeed hai k mere lafzoon k saath aapka waqt khush gawaar guzre ga.
apki mashqoor,
—S.
💌 qalbtalk naam ki kya ehmiyat hai?
qalbtalk bohat arsa mera tumblr pe naam/URL/handle raha hai. ziyada tar log meri kahaniyaan isi naam se pehchaante hain. mera rujhaan hamaisha ruhaniyat ki taraf raha hai aur Qur’an main “qalb” lafz “dil” k liye istemaal kiya hai. tou sada alfaaz main “qalbtalk” yaani “dil ki baatein.” aur jahan dil ka zikr ho wahan jazbaat aur androoni duniya bohat maaini rakhti hain.
💌 qalbtalk ka khat kis baare main ho ga?
main khudh ko afsana nigar manti hoon. meri yehi koshish hogi k main woh kahaniyaan aap tak poncha sakoon jo dil ko taskeen aur khushi aur gham main aap ka saath de sakain. meri zindagi main yeh kaam bohat hadd tak ruhani dilchaspi aur shairy ka raha hai. tou mere khatoot main aapko aksar ruhani sabaq aur shairy maujood mile gi. kabhi kabhi main apni zaati zindagi main hone wale wakiyoon par bhi tabseera karoon gi. jab koi urdu ya angrezi ki kitab achi lage gi tou uss par bhi apna nazariya paish karoon gi. main likhne k ilawa art ka bhi shauq rakhti hoon tou aap ko meri paintings daikhne ka mauqa bhi mile ga. jahan tak ho sake ga main urdu script aur roman urdu dono main post karoon gi take ziyada se ziyada log parh sakain.
💌 qalbtalk ka khat kin logoon k liye hai?
woh log jinhain urdu zubaan se ishq hai
woh log jo shairy ka shauq rakhte hain
woh log jin ki zindagi main ruhniyat ki khaas jagah hai
woh log jinhain ilm aur kitaboon se lagao hai
woh log jo zindagi main aane wale khushi aur gham k paloon ko kisi dost k saath baantna chahte hain
woh log jo khudh ko aksar akela mehsoos karte hain
woh log jinhain mere alfaaz se thora sa bhi honsla milta hai
agar aap kisi aise dost ko jaante hain jo meri kahaniyoon ko pasand karain ge, tou unke saath yeh khatoot zaroor baantiye ga
💌 subscriptions
muft aur paid subscriptions dono dastiyaab hain. aapki paid subscription mere liye aik tohfa, aik aizaaz sabit hogi. chahe aap muft subscribe karain ya paid subscription lain, iss safar main mera saath dene ka shukriya.