adaab! asalam o alikum! khush amadeed!
aik waqt tha jab hum khat likh k post kiya karte thay. main wohi silsila email k zariye barqarar rakhna chahti hoon.
main khudh ko afsana nigar manti hoon. meri yehi koshish hogi k main apne har khat k zariye woh baatein aur kahaniyaan suna sakoon jo dil ko taskeen aur khushi aur gham main aap ka saath de sakain. meri zindagi main yeh kaam bohat hadd tak ruhani dilchaspi aur shairy ka raha hai. tou meri khatoot main aapko aksar ruhani sabaq aur shairy maujood mile gi. kabhi kabhi main apni zaati zindagi main hone wale wakiyoon par bhi tabseera karoon gi. jab koi urdu ya angrezi ki kitab achi lage gi tou uss par bhi apna nazariya paish karoon gi. main likhne k ilawa art ka bhi shauq rakhti hoon tou aap ko meri paintings daikhne ka mauqa bhi mile ga. jahan tak ho sake ga main urdu script aur roman urdu dono main post karoon gi take ziyada se ziyada log parh sakain.
💌 qalbtalk ka khat kin logoon k liye hai?
woh log jinhain urdu zubaan se ishq hai
woh log jo shairy ka shauq rakhte hain
woh log jin ki zindagi main ruhaniyat ki khaas jagah hai
woh log jinhain ilm aur kitaboon se lagao hai
woh log jo zindagi main aane wale khushi aur gham k paloon ko kisi dost k saath baantna chahte hain
woh log jo khudh ko aksar akela mehsoos karte hain
woh log jinhain mere alfaaz se thora sa bhi honsla milta hai
Subscription
har khat aapko email k zariye mil jaye ga. aap Substack app par bhi har khat parh sakte hain. Get the Substack app. qalbtalk ki muqakal access aur publication archives yahan maujood hain.
muft aur paid subscriptions dono dastiyaab hain. aapki paid subscription mere liye aik tohfa, aik aizaaz sabit hogi. chahe aap muft subscribe karain ya paid, main aapki mashqoor hoon. iss safar main mera saath dene ka shukriya.
